Faez Dehlvi

mare dil bich naqsh-e-naznin hai

Faez Dehlvi

1690-1737
mare dil biich naqsh-e-nāznīñ hai
magar ye dil nahīñ yaaro nagīñ hai
kamar par terī us kā dil huā mahv
tirā āshiq bahut bārīk-bīñ hai
jo kahiye us ke haq meñ kam hai be-shak
parī hai huur hai rūh-ul-amīñ hai
ġhulām us ke haiñ saare ab sirījan
nagar meñ husn ke kursī-nashīñ hai
nahīñ ab jag meñ vaisā aur pītam
sabī ḳhush-sūratāñ suuñ nāznīñ hai
mujhe hai moshgāfī meñ mahārat
jo nit dil mahv ḳhatt-e-ambarīñ hai
nazar kar lutf kī ai shāh-e-ḳhūbāñ
tirā 'fā.ez' ġhulām-e-kam-tarīñ hai
Top Urdushayar.com