Faez Dehlvi

ai KHub-ru farishta siyar-anjuman mein aa

Faez Dehlvi

1690-1737
ai ḳhūb-rū farishta siyar-anjuman meñ aa
sarv-e-ravān-e-husn hamāre chaman meñ aa
muñh bāñdh kar kalī sā na rah mere paas tū
ḳhandāñ ho kar ke gul kī sifat Tuk suḳhan meñ aa
ushshāq jāñ-ba-kaf khaḌe haiñ tere ās-pās
ai dil-rubā-e-ġhārat-e-jāñ apne fan meñ aa
duurī na kar kanār suuñ merī tū ai humā
kab lag rahegā duur tak apne vatan meñ aa
tere milāp bin nahīñ 'fā.ez' ke dil ko chain
jiyūñ ruuh ho basā hai tū us ke badan meñ aa
Top Urdushayar.com