so.e hue jazboñ ko jagā kar phir vo shaam na aa.ī
sañg tire bas ik din aa kar phir vo shaam na aa.ī
terī bātoñ kī ḳhushbū se mahkī vaadī vaadī
phūloñ ke ambār lagā kar phir vo shaam na aa.ī
nadī kināre kā vo manzar takne ko jī chāhe
kūñjoñ kī ik Daar uḌā kar phir vo shaam na aa.ī
baiThe baiThe jal uThtī haiñ bhīgī bhīgī āñkheñ
āb-e-ravāñ meñ aag lagā kar phir vo shaam na aa.ī
roz hī sūraj nikle 'manzar' roz hī sūraj Duube
maiñ jis kī raah dekhūñ jā kar phir vo shaam na aa.ī