har shai hai pur-malāl baḌī tez dhuup hai
har lab pe hai savāl baḌī tez dhuup hai
chakrā ke gir na jā.ūñ maiñ is tez dhuup meñ
mujh ko zarā sambhāl baḌī tez dhuup hai
de hukm bādaloñ ko ḳhayābāñ-nashīn huuñ
jām-o-subū uchhāl baḌī tez dhuup hai
mumkin hai abr-e-rahmat-e-yazdāñ baras paḌe
zulfoñ kī chhāñv Daal baḌī tez dhuup hai
ab shahr-e-ārzū meñ vo ra.anā.iyāñ kahāñ
haiñ gul-kade niDhāl baḌī tez dhuup hai
samjhī hai jis ko sāya-e-ummīd aql-e-ḳhām
'sāġhar' kā hai ḳhayāl baḌī tez dhuup hai