Saghar Siddiqui

teri nazar ke ishaaron se khel sakta hun

Saghar Siddiqui

Ambala, Haryana, India

1928-1974
tirī nazar ke ishāroñ se khel saktā huuñ
jigar-faroz sharāroñ se khel saktā huuñ
tumhāre dāman-e-rañgīñ kā aasrā le kar
chaman ke mast nazāroñ se khel saktā huuñ
kisī ke ahd-e-mohabbat kī yaad baaqī hai
baḌe hasīn sahāroñ se khel saktā huuñ
maqām-e-hosh-o-ḳhirad intiqām-e-vahshat hai
junūñ kī rāh-guzāroñ se khel saktā huuñ
mujhe ḳhizāñ ke bagūle salām karte haiñ
hayā-farosh chanāroñ se khel saktā huuñ
sharāb o sher ke dariyā meñ Duub kar 'sāġhar'
surūr-o-kaif ke dhāroñ se khel saktā huuñ
Top Urdushayar.com