ġham ke mujrim ḳhushī ke mujrim haiñ
log ab zindagī ke mujrim haiñ
aur koī gunāh yaad nahīñ
sajda-e-be-ḳhudī ke mujrim haiñ
istiġhāsa hai raah o manzil kā
rāhzan rahbarī ke mujrim haiñ
mai-kade meñ ye shor kaisā hai
bāda-kash bandagī ke mujrim haiñ
dushmanī aap kī ināyat hai
ham faqat dostī ke mujrim haiñ
ham faqīroñ kī sūratoñ pe na jā
ḳhidmat-e-ādmī ke mujrim haiñ
kuchh ġhazālān-e-āgahī 'sāġhar'
naġhma-o-shā.erī ke mujrim haiñ