rāhzan aadmī rahnumā aadmī
bār-hā ban chukā hai ḳhudā aadmī
haa.e taḳhlīq kī kār-pardāziyāñ
ḳhaak sī chiiz ko kah diyā aadmī
khul ga.e jannatoñ ke vahāñ zā.iche
do qadam jhuum kar jab chalā aadmī
zindagī ḳhānqāh-e-shahūd-o-baqā
aur lauh-e-mazār-e-fanā aadmī
sub.h-dam chāñd kī ruḳhsatī kā samāñ
jis tarah bahr meñ Dūbtā aadmī
kuchh farishtoñ kī taqdīs ke vāste
sah gayā aadmī kī jafā aadmī
gūñjtī hī rahegī falak-dar-falak
hai mashiyyat kī aisī sadā aadmī
aas kī mūrateñ pūjte pūjte
ek tasvīr sī ban gayā aadmī