Saghar Siddiqui

maal-e-naghma-o-matam faroKHt hota hai

Saghar Siddiqui

Ambala, Haryana, India

1928-1974

ma.āl-e-naġhma-o-mātam faroḳht hotā hai

ḳhushī ke saath yahāñ ġham faroḳht hotā hai

vo jis ko aaj bhī kuchh log husn kahte haiñ

ba-sad-nigārish-e-paiham faroḳht hotā hai

fareb-ḳhurda tabassum ḳharīdne ke liye

vaqār-e-dīda-e-pur-nam faroḳht hotā hai

baḌe hasīn ghanere siyāh pardoñ meñ

jamāl-e-ismat-e-maryam faroḳht hotā hai

bahār-e-vādi-e-gañg-o-jaman ke saath yahāñ

vaqār-e-kausar-o-zamzam faroḳht hotā hai

vo jism-e-marmarīñ nazreñ bhī jis ko chhū na sakīñ

barā.e-raunaq-e-ālam faroḳht hotā hai

tilism-ḳhāna-e-sad-rañg-o-bū meñ ai 'sāġhar'

fareb-e-shola-o-shabnam faroḳht hotā hai

Top Urdushayar.com