ek va.ada hai kisī kā jo vafā hotā nahīñ
varna in tāroñ bharī rātoñ meñ kyā hotā nahīñ
jī meñ aatā hai ulaT deñ un ke chehre se naqāb
hausla karte haiñ lekin hausla hotā nahīñ
sham.a jis kī aabrū par jaan de de jhuum kar
vo patiñgā jal to jaatā hai fanā hotā nahīñ
ab to muddat se rah-o-rasm-e-nazāra band hai
ab to un kā tuur par bhī sāmnā hotā nahīñ
har shanāvar ko nahīñ miltā talātum se ḳhirāj
har safīne kā muhāfiz nāḳhudā hotā nahīñ
har bhikārī pā nahīñ saktā maqām-e-ḳhvājgī
har kas-o-nā-kas ko terā ġham atā hotā nahīñ
haa.e ye begānagī apnī nahīñ mujh ko ḳhabar
haa.e ye aalam ki tū dil se judā hotā nahīñ
bārhā dekhā hai 'sāġhar' rahguzār ishq meñ
kārvāñ ke saath aksar rahnumā hotā nahīñ