zaḳhm khā ke ḳhandāñ haiñ pairahan-darīda ham
zindagī kā nauha ham vaqt kā qasīda ham
jaane tab.a ke hāthoñ kaun ghaaT utreñge
shahr se gurezāñ ham dasht se ramīda ham
zindagī kī āñkhoñ meñ rāt-din khaTakte haiñ
ḳhas jo haiñ to lā-sānī ḳhaar haiñ to chīda ham
barg barg taaza hai zaḳhm zaḳhm ristā hai
mausam-e-bahārāñ meñ shāḳh-e-nau-burīda ham
bazm-e-rañg-o-naġhma meñ kaun multafit hogā
āh-e-nā-kashīda ham harf-e-nā-shanīda ham