nazar nazar be-qarār sī hai nafas nafas meñ sharār sā hai
maiñ jāntā huuñ ki tum na aaoge phir bhī kuchh intizār sā hai
mire azīzo mire rafīqo chalo koī dāstān chheḌo
ġham-e-zamāna kī baat chhoḌo ye ġham to ab sāzgār sā hai
vahī fasurda sā rañg-e-mahfil vahī tirā ek aam jalva
mirī nigāhoñ meñ baar sā thā mirī nigāhoñ meñ baar sā hai
kabhī to aao kabhī to baiTho kabhī to dekho kabhī to pūchho
tumhārī bastī meñ ham faqīroñ kā haal kyuuñ sogvār sā hai
chalo ki jashn-e-bahār dekheñ chalo ki zarf-e-bahār jāñcheñ
chaman chaman raushnī huī hai kalī kalī pe nikhār sā hai
ye zulf-bar-dosh kaun aayā ye kis kī aahaT se gul khile haiñ
mahak rahī hai fazā-e-hastī tamām aalam bahār sā hai