Saghar Siddiqui

har marhala-e-shauq se lahra ke guzar ja

Saghar Siddiqui

Ambala, Haryana, India

1928-1974
har marhala-e-shauq se lahrā ke guzar jā
āsār-e-talātum hoñ to bal khā ke guzar jā
bahkī huī maḳhmūr ghaTāoñ kī sadā sun
firdaus kī tadbīr ko bahlā ke guzar jā
māyūs haiñ ehsās se uljhī huī rāheñ
paa.el dil-e-majbūr kī chhankā ke guzar jā
yazdān o ahrman kī hikāyāt ke badle
insāñ kī rivāyāt ko dohrā ke guzar jā
kahtī haiñ tujhe mai-kada-e-vaqt kī rāheñ
bigḌī huī taqdīr ko suljhā ke guzar jā
bujhtī hī nahīñ tishnagī-e-dil kisī sūrat
ai abr-e-karam aag hī barsā ke guzar jā
kāñTe jo lageñ haath to kuchh ġham nahīñ 'sāġhar'
kaliyoñ ko har ik gaam pe bikhrā ke guzar jā
Top Urdushayar.com