hai duā yaad magar harf-e-duā yaad nahīñ
mere naġhmāt ko andāz-e-navā yaad nahīñ
maiñ ne palkoñ se dar-e-yār pe dastak dī hai
maiñ vo saa.il huuñ jise koī sadā yaad nahīñ
maiñ ne jin ke liye rāhoñ meñ bichhāyā thā lahū
ham se kahte haiñ vahī ahd-e-vafā yaad nahīñ
kaise bhar aa.iiñ sar-e-shām kisī kī āñkheñ
kaise tharrā.ī charāġhoñ kī ziyā yaad nahīñ
sirf dhundlā.e sitāroñ kī chamak dekhī hai
kab huā kaun huā kis se ḳhafā yaad nahīñ
zindagī jabr-e-musalsal kī tarah kaaTī hai
jaane kis jurm kī paa.ī hai sazā yaad nahīñ
aao ik sajda kareñ ālam-e-mad.hoshī meñ
log kahte haiñ ki 'sāġhar' ko ḳhudā yaad nahīñ