saaqī kī ik nigāh ke afsāne ban ga.e
kuchh phuul TuuT kar mire paimāne ban ga.e
kaaTī jahāñ tasavvur-e-jānāñ meñ ek shab
kahte haiñ log us jagah but-ḳhāne ban ga.e
jin par na saa.e zulf-e-ġhazālāñ ke paḌ sake
ehsās kī nigāh meñ vīrāne ban ga.e
jo pī sake na surḳh laboñ kī tajalliyāñ
duniyā ke tajrabāt se anjāne ban ga.e
'sāġhar' vahī maqām hai ik manzil-e-farāz
apne bhī jis maqām pe begāne ban ga.e