Saghar Siddiqui

charagh-e-tur jalao baDa andhera hai

Saghar Siddiqui

Ambala, Haryana, India

1928-1974
charāġh-e-tūr jalāo baḌā añdherā hai
zarā naqāb uThāo baḌā añdherā hai
abhī to sub.h ke māthe kā rañg kaalā hai
abhī fareb na khaao baḌā añdherā hai
vo jin ke hote haiñ ḳhurshīd āstīnoñ meñ
unheñ kahīñ se bulāo baḌā añdherā hai
mujhe tumhārī nigāhoñ pe e'timād nahīñ
mire qarīb na aao baḌā añdherā hai
farāz-e-arsh se TuuTā huā koī taara
kahīñ se DhūñD ke laao baḌā añdherā hai
basīratoñ pe ujāloñ kā ḳhauf taarī hai
mujhe yaqīn dilāo baḌā añdherā hai
jise zabān-e-ḳhirad meñ sharāb kahte haiñ
vo raushnī sī pilāo baḌā añdherā hai
ba-nām-e-zohra-jzbīnān-e-ḳhitta-e-firdaus
kisī kiran ko jagāo baḌā añdherā hai
Top Urdushayar.com