ye jo dīvāne se do-chār nazar aate haiñ
in meñ kuchh sāhab-e-asrār nazar aate haiñ
terī mahfil kā bharam rakhte haiñ so jaate haiñ
varna ye log to bedār nazar aate haiñ
duur tak koī sitāra hai na koī jugnū
marg-e-ummīd ke āsār nazar aate haiñ
mire dāman meñ sharāroñ ke sivā kuchh bhī nahīñ
aap phūloñ ke ḳharīdār nazar aate haiñ
kal jinheñ chhū nahīñ saktī thī farishtoñ kī nazar
aaj vo raunaq-e-bāzār nazar aate haiñ
hashr meñ kaun gavāhī mirī degā 'sāġhar'
sab tumhāre hī taraf-dār nazar aate haiñ