har roz hī din bhar ke jhameloñ se nimaT ke
ro lete haiñ ham raat ke āñchal se lipaT ke
ham kaun haiñ kyuuñ baiThe haiñ yuuñ rāhguzar par
pūchhā na kisī ik bhī musāfir ne palaT ke
kyā kyā the mire dil ke sahīfe meñ mazāmīñ
dekhe na kisī ne mire aurāq ulaT ke
phirte rahe āvāra ḳhayālāt kī sūrat
kyā chiiz thī ham jis ke liye dahr meñ bhaTke
shab karvaTeñ lete to na guzre kabhī 'munzir'
so jaao miyāñ dard kī bāhoñ meñ simaT ke