Saghar Siddiqui

chaak-e-daman ko jo dekha to mila eid ka chand

Saghar Siddiqui

Ambala, Haryana, India

1928-1974
chāk-e-dāman ko jo dekhā to milā eid kā chāñd
apnī taqdīr kahāñ bhuul gayā eid kā chāñd
un ke abrū-e-ḳhamīda kī tarah tīkhā hai
apnī āñkhoñ meñ baḌī der chhupā eid kā chāñd
jaane kyuuñ aap ke ruḳhsār mahak uThte haiñ
jab kabhī kaan meñ chupke se kahā eid kā chāñd
duur vīrān basere meñ diyā ho jaise
ġham kī dīvār se dekhā to lagā eid kā chāñd
le ke hālāt ke sahrāoñ meñ aa jaatā hai
aaj bhī ḳhuld kī rañgīn fazā eid kā chāñd
talḳhiyāñ baḌh ga.iiñ jab ziist ke paimāne meñ
ghol kar dard ke māroñ ne piyā eid kā chāñd
chashm to vus.at-e-aflāk meñ khoī 'sāġhar'
dil ne ik aur jagah DhūñD liyā eid kā chāñd
Top Urdushayar.com