rūdād-e-mohabbat kyā kahiye kuchh yaad rahī kuchh bhuul ga.e
do din kī masarrat kyā kahiye kuchh yaad rahī kuchh bhuul ga.e
jab jaam diyā thā saaqī ne jab daur chalā thā mahfil meñ
ik hosh kī saa.at kyā kahiye kuchh yaad rahī kuchh bhuul ga.e
ab vaqt ke nāzuk hoñToñ par majrūh tarannum raqsāñ hai
bedād-e-mashiyyat kyā kahiye kuchh yaad rahī kuchh bhuul ga.e
ehsās ke mai-ḳhāne meñ kahāñ ab fikr-o-nazar kī qindīleñ
ālām kī shiddat kyā kahiye kuchh yaad rahī kuchh bhuul ga.e
kuchh haal ke andhe sāthī the kuchh maazī ke ayyār sajan
ahbāb kī chāhat kyā kahiye kuchh yaad rahī kuchh bhuul ga.e
kāñToñ se bharā hai dāman-e-dil shabnam se sulagtī haiñ palkeñ
phūloñ kī saḳhāvat kyā kahiye kuchh yaad rahī kuchh bhuul ga.e
ab apnī haqīqat bhī 'sāġhar' be-rabt kahānī lagtī hai
duniyā kī haqīqat kyā kahiye kuchh yaad rahī kuchh bhuul ga.e