Saghar Siddiqui

taron se mera jam bharo main nashe mein hun

Saghar Siddiqui

Ambala, Haryana, India

1928-1974
tāroñ se merā jaam bharo maiñ nashe meñ huuñ
ai sākinān-e-ḳhuld suno maiñ nashe meñ huuñ
kuchh phuul khil rahe haiñ sar-e-shāḳh-e-mai-kada
tum hī zarā ye phuul chuno maiñ nashe meñ huuñ
Thahro abhī to sub.h kā maarā hai zau-fishāñ
dekho mujhe fareb na do maiñ nashe meñ huuñ
nashsha to maut hai ġham-e-hastī kī dhuup meñ
bikhrā ke zulf saath chalo maiñ nashe meñ huuñ
mela yuuñ hī rahe ye sar-e-rahguzār-e-zīst
ab jaam sāmne hī rakho maiñ nashe meñ huuñ
paa.el chhanak rahī hai nigār-e-ḳhayāl kī
kuchh ehtimām-e-raqs karo maiñ nashe meñ huuñ
maiñ Dagmagā rahā huuñ bayābān-e-hosh meñ
mere abhī qarīb raho maiñ nashe meñ huuñ
hai sirf ik tabassum-e-rañgīñ bahut mujhe
'sāġhar' ba-dosh lāla-ruḳho maiñ nashe meñ huuñ
Top Urdushayar.com