bhūlī huī sadā huuñ mujhe yaad kījiye
tum se kahīñ milā huuñ mujhe yaad kījiye
manzil nahīñ huuñ ḳhizr nahīñ rāhzan nahīñ
manzil kā rāsta huuñ mujhe yaad kījiye
merī nigāh-e-shauq se har gul hai devtā
maiñ ishq kā ḳhudā huuñ mujhe yaad kījiye
naġhmoñ kī ibtidā thī kabhī mere naam se
ashkoñ kī intihā huuñ mujhe yaad kījiye
gum-sum khaḌī haiñ donoñ jahāñ kī haqīqateñ
maiñ un se kah rahā huuñ mujhe yaad kījiye
'sāġhar' kisī ke husn-e-taġhāful-shi.ār kī
bahkī huī adā huuñ mujhe yaad kījiye