Saghar Siddiqui

teri nazar ka rang bahaaron ne le liya

Saghar Siddiqui

Ambala, Haryana, India

1928-1974
terī nazar kā rañg bahāroñ ne le liyā
afsurdagī kā ruup tarānoñ ne le liyā
jis ko bharī bahār meñ ġhunche na kah sake
vo vāqi.a bhī mere fasānoñ ne le liyā
shāyad milegā qariya-e-mahtāb meñ sukūñ
ahl-e-ḳhirad ko aise gumānoñ ne le liyā
yazdāñ se bach rahā thā jalālat kā ek lafz
us ko haram ke shoḳh bayānoñ ne le liyā
terī adā se ho na sakā jis kā faisla
vo zindagī kā raaz nishānoñ ne le liyā
afsāna-e-hayāt kī takmīl ho ga.ī
apnoñ ne le liyā ki begānoñ ne le liyā
bhūlī nahīñ vo qaus-e-quzah kī sī sūrateñ
'sāġhar' tumheñ to mast dhiyānoñ ne le liyā
Top Urdushayar.com