Saghar Siddiqui

mahfilen luT gain jazbaat ne dam toD diya

Saghar Siddiqui

Ambala, Haryana, India

1928-1974
mahfileñ luT ga.iiñ jazbāt ne dam toḌ diyā
saaz ḳhāmosh haiñ naġhmāt ne dam toḌ diyā
har masarrat ġham-e-dīroz kā unvān banī
vaqt kī god meñ lamhāt ne dam toḌ diyā
an-ginat mahfileñ mahrūm-e-charāġhāñ haiñ abhī
kaun kahtā hai ki zulmāt ne dam toḌ diyā
aaj phir bujh ga.e jal jal ke umīdoñ ke charāġh
aaj phir tāroñ bharī raat ne dam toḌ diyā
jin se afsāna-e-hastī meñ tasalsul thā kabhī
un mohabbat kī rivāyāt ne dam toḌ diyā
jhilmilāte hue ashkoñ kī laḌī TuuT ga.ī
jagmagātī huī barsāt ne dam toḌ diyā
haa.e ādāb-e-mohabbat ke taqāze 'sāġhar'
lab hile aur shikāyāt ne dam toḌ diyā
Top Urdushayar.com