Saghar Siddiqui

main talKHi-e-hayat se ghabra ke pi gaya

Saghar Siddiqui

Ambala, Haryana, India

1928-1974
maiñ talḳhī-e-hayāt se ghabrā ke pī gayā
ġham kī siyāh raat se ghabrā ke pī gayā
itnī daqīq shai koī kaise samajh sake
yazdāñ ke vāqi.āt se ghabrā ke pī gayā
chhalke hue the jaam pareshāñ thī zulf-e-yār
kuchh aise hādsāt se ghabrā ke pī gayā
maiñ aadmī huuñ koī farishta nahīñ huzūr
maiñ aaj apnī zaat se ghabrā ke pī gayā
duniyā-e-hādsāt hai ik dardnāk giit
duniyā-e-hādsāt se ghabrā ke pī gayā
kāñTe to ḳhair kāñTe haiñ is kā gila hī kyā
phūloñ kī vārdāt se ghabrā ke pī gayā
'sāġhar' vo kah rahe the ki pī lījiye huzūr
un kī guzārishāt se ghabrā ke pī gayā
Top Urdushayar.com