Saghar Siddiqui

waqt ke rangin gul-daste ko yaad aaega ThanDa hath

Saghar Siddiqui

Ambala, Haryana, India

1928-1974
vaqt ke rañgīñ gul-daste ko yaad aa.egā ThanDā haath
jab bikhreñge vo gesū to mar jā.egā ThanDā haath
bhīgī palkeñ soch kī uljhan dāman thāme pūchh rahī haiñ
kab tak tār-e-garebāñ yaaro suljhā.egā ThanDā haath
sāz-e-taġhazzul chheḌne vaalo ai afsāne likhne vaalo
aaj lakīroñ kī tafsīreñ dohrā.egā ThanDā haath
garm lahū kī būñdeñ bo.eñ tanhā.ī kī miTTī Dāleñ
patjhaḌ aa.e un shāḳhoñ par ug aa.egā ThanDā haath
patthar patthar jot jalegī sāhil sāhil sho.ale hoñge
bhīgī bhīgī sard havā meñ sharmā.egā ThanDā haath
baaġh ke maalī mere ġhunche ġhairoñ ne pāmāl kiye
phir bhī terī phulvārī ko mahkā.egā ThanDā haath
Top Urdushayar.com