jazba-e-soz-e-talab ko be-karāñ karte chalo
kū-ba-kū raushan charāg-e-kārvāñ karte chalo
chashm-e-sāqī pur-tabassum mai-kadā bahkā huā
aao qismat ko harīf-e-kahkashāñ karte chalo
chhīn laao āsmāñ se mehr-o-mah kī azmateñ
aur TuuTe jhoñpaḌoñ ko zau fashāñ karte chalo
zindagī ko log kahte haiñ barā.e-bandagī
zindagī kaT jā.egī zikr-e-butāñ karte chalo
jin se zinda ho yaqīn o āgahī kī aabrū
ishq kī rāhoñ meñ kuchh aise gumāñ karte chalo
har nafas ai jiine vaalo shaġhl-e-paimāna rahe
be-ḳhudī ko zindagī kā pāsbāñ karte chalo
chheḌ kar 'sāġhar' kisī ke gesuoñ kī dāstāñ
in shagūfoñ ko zarā sho.ala-zabāñ karte chalo