Saghar Siddiqui

ek naghma ek tara ek ghuncha ek jam

Saghar Siddiqui

Ambala, Haryana, India

1928-1974
ek naġhma ik taarā ek ġhuncha ek jaam
ai ġham-e-daurāñ ġham-e-daurāñ tujhe merā salām
zulf āvāra garebāñ chaak ghabrā.ī nazar
in dinoñ ye hai jahāñ meñ zindagānī kā nizām
chand taare TuuT kar dāman meñ mere aa gire
maiñ ne pūchhā thā sitāroñ se tire ġham kā maqām
kah rahe haiñ chand bichhḌe rahravoñ ke naqsh-e-pā
ham kareñge inqalāb-e-justujū kā ehtimām
paḌ ga.iiñ pairāhan-e-sub.h-e-chaman par silvaTeñ
yaad aa kar rah ga.ī hai be-ḳhudī kī ek shaam
terī ismat ho ki ho mere hunar kī chāñdnī
vaqt ke bāzār meñ har chiiz ke lagte haiñ daam
ham banā.eñge yahāñ 'sāġhar' na.ī tasvīr-e-shauq
ham taḳhayyul ke mujaddid ham tasavvur ke imaam
Top Urdushayar.com