ḳhatā-vār-e-muravvat ho na marhūn-e-karam ho jā
masarrat sar jhukā.egī parastār-e-alam ho jā
inhī be-rabt ḳhvāboñ se koī ta.abīr niklegī
inhī uljhī huī rāhoñ pe merā ham-qadam ho jā
kisī zardār se jins-e-tabassum māñgne vaale
kisī bekas ke lāshe par sharīk-e-chashm-e-nam ho jā
kisī din in añdheroñ meñ charāġhāñ ho hī jā.egā
jalā kar dāġh-e-dil koī ziyā-e-shām-e-ġham ho jā
tujhe suljhā.egā ab inqilāb-e-vaqt kā shāna
taqāzā-e-junūñ hai gesu-e-daurāñ kā ḳham ho jā
tajassus markaz-e-taqdīr kā qaa.il nahīñ hotā
shu.ūr-e-bandagī! begāna-e-dair-o-haram ho jā
ye manzil aur gard-e-kārvāñ 'sāġhar' kahāñ apne
simaT kar rahguzār-e-vaqt par naqsh-e-qadam ho jā