hairāñ hai zamāne meñ kise apnā kahe dil
chehre to haiñ gul-rañg magar khoT bhare dil
kis samt liye jaatā hai ye daur-e-taraqqī
dhātoñ ke hue jism to patthar ke bane dil
ġhuncha hai to chaTke vo sitārā hai to chamke
betāb hai siine meñ dhaḌakne ke liye dil
virāñ-kada-e-dahr meñ kyā rakkhā hai 'munzir'
kuchh dard ke afsāne to kuchh TuuTe hue dil