ham bayābānoñ meñ ghūme shahr kī saḌkoñ pe Tahle
dil kisī sūrat to sambhle dil kisī sūrat to bahle
zindagī ke rāste meñ do-ghaḌī kā saath hai ye
apne man kī maiñ bhī kah luuñ apne man kī tū bhī kah le
goyā zinda rahnā bhī ik jurm tere shahr meñ thā
ham har ik aahaT pe larze ham har ik dhaḌkan pe dahle
ab to tā-hadd-e-nazar vīrāniyāñ phailī huī haiñ
ghar kā ye be-dar ḳharāba kitnā thā ābād pahle
vaqt aisā aa gayā hai ḳhāmushī behtar hai 'munzir'
baat jo kahtā hai sun le choT jo lagtī hai sah le