dil meñ shafqat na rahe aañkh kā paanī na rahe
ahd meñ tere koī chiiz purānī na rahe
rasm-e-hijrat ko ba-andāz-e-digar zinda rakh
itne vīrāñ hoñ magar shauq-e-makānī na rahe
silsila band ho yāroñ kī mulāqātoñ kā
sub.h rañgīñ na rahe shaam suhānī na rahe
ho sake lauh-e-dil-o-jāñ se miTā us ke nuqūsh
jaane vaale kī yahāñ koī nishānī na rahe
tū nadī naale ko har taur baham rakh paanī
vo to chāhegā ki dariyā meñ ravānī na rahe
baat jo dil meñ hai khul kar use kah de 'shāhīñ'
kyā ḳhabar kal ko ye āshufta-bayānī na rahe