shām-e-ġham kī hai atā sub.h-e-masarrat dī hai
zindagī ne hameñ ehsās kī daulat dī hai
kaise kaise tire ehsās kī chaTTānoñ ko
maiñ ne lafzoñ meñ tarāshā hai to sūrat dī hai
merī muTThī meñ hai har ḳhvāb kī ta.abīr magar
tū ne ai vahshat-e-dil kab mujhe mohlat dī hai
apne īsār tah-e-lafz-o-bayāñ rakkhe haiñ
tere ikrām ko sau tarah se shohrat dī hai
tum ne be-dām ḳharīde haiñ ḳhushī ke sāmāñ
ham ne har ek ḳhushī kī baḌī qīmat dī hai
kitne mauhūm ishāroñ se phir aane kī mujhe
DabDabā.ī huī in āñkhoñ ne dāvat dī hai