Javed Shaheen

safar ka KHwab tha aab-e-rawan pe rakkha tha

Javed Shaheen

Amritsar, Punjab, India

1932-2008
safar kā ḳhvāb thā āb-e-ravāñ pe rakkhā thā
koī sitāra khule bādbāñ pe rakkhā thā
bhulā gayā hai mujhe guftugū ke saare maze
bas ek lafz thā pal bhar zabāñ pe rakkhā thā
vo ek ḳhaak sā manzar bas ab bahut hai mujhe
uThā ke jo kabhī qirtās-e-jāñ pe rakkhā thā
maiñ kyā gayā ki huā ḳhushk chashma-e-mahtāb
abhī to pahlā qadam āsmāñ pe rakkhā thā
usī ko 'shāhīñ' muqarrar kiyā hai jā-e-visāl
kanāra-e-shab-e-hijrāñ jahāñ pe rakkhā thā
Top Urdushayar.com