Javed Shaheen

ek aur siyah raat hai is raat se aage

Javed Shaheen

Amritsar, Punjab, India

1932-2008
ik aur siyah raat hai is raat se aage
ab baat nikal jaane ko hai baat se aage
koshish to bahut kartā huuñ khultā hī nahīñ vo
baiThā hai kahīñ shak sā mulāqāt se aage
dene ko bahut kuchh hai magar vaqt-e-saḳhāvat
hotā hī nahīñ koī mirī zaat se aage
thī kaisī talab jis ko pakaḌne ke junūñ meñ
dil chaltā rahā chaar qadam haat se aage
haañ rāhat-e-dil jān-e-nazar hoñge manāzir
dekhā hī nahīñ kuchh basar-auqāt se aage
thoḌā sā kahīñ jam.a bhī rakh dard kā paanī
mausam hai koī ḳhushk sā barsāt se aage
yuuñ tark-e-ta.alluq na karo is se bhī 'shāhīñ'
kuchh achchhe marāsim nahīñ hālāt se aage
Top Urdushayar.com