un kī nigah-e-nāz ke Thukrā.e hue haiñ
ham jurm-e-mohabbat kī sazā paa.e hue haiñ
ye sāya-nashīnān-e-guzar-gāh-e-tamannā
kuchh ishq ke kuchh aql ke bahkā.e hue haiñ
ab un ko na.ī sub.h ke paiġhām sunā do
jo tīrgī-e-vaqt se ghabrā.e hue haiñ
mai chhalkegī mai ublegī mai barsegī rindo
mai-ḳhāne meñ ḳhud shaiḳh-e-haram aa.e hue haiñ
tauba nahīñ TūTegī subū aa.e ki ḳhum aa.e
mai-kash tirī āñkhoñ kī qasam khaa.e hue haiñ
un ashkoñ ke qatroñ ko bhī be-māya na samjho
mazlūmoñ kī āñkhoñ meñ jagah paa.e hue haiñ
ab un ke taġhāful kā 'vafā' zikr na chheḌo
dekho to vo kis naaz se sharmā.e hue haiñ