tamām raat vo jaagā kisī ke va.ade par
vafā ko aa hī ga.ī niiñd raat Dhalne par
jo sab kā dost thā har anjuman kī raunaq thā
kal us kī laash milī us ke ghar ke malbe par
vo zauq-e-fan ho ki shāḳh-e-chaman ki ḳhāk-e-vatan
har ik kā haq hai mire ḳhuuñ ke qatre qatre par
haqīqateñ nazar aa.eñ to kis tarah un ko
ta.assubāt kī ainak hai jin ke chehre par
chaman meñ yuuñ to the kuchh aur āshiyāñ lekin
girī jo barq to mere hī āshiyāne par
karam mujhī pe thā sab bāġhbān-o-gulchīñ kā
kisī ne qaid kiyā aur kisī ne noche par
ye dasht-e-huzn hai karb-o-balā kā sahrā hai
chalegā kaun yahāñ ab 'vafā' ke raste par