na.ī sahar hai ye logo nayā saverā hai
tulūa ho chukā sūraj magar añdherā hai
ḳhudā hī jaane ye dil kab ḳhudā kā ghar hogā
abhī to is meñ butān-e-havas kā Derā hai
abhī na de mujhe āvāz ai ġham-e-jānāñ
abhī to shahr-e-vafā meñ baḌā añdherā hai
na sā.ebān na āñgan na chhat na raushan-dān
aur is pe sab se laḌā.ī ki ghar ye merā hai
ye dār-o-gīr kī duniyā meñ kahnā mushkil hai
ki kaun is meñ luTā kaun yaañ luTerā hai
ye saare jhagḌe haiñ bas ek do pahar ke liye
ki nūr-e-mehr na merā hai aur na terā hai
vafā nisār ho us kī vafā-shanāsī par
hazār gardishoñ ke ba.ad bhī jo merā hai