maiñ ghar se duur utāq-e-badan meñ rahtā huuñ
savād-e-hijr ke bāb-e-kuhan meñ rahtā huuñ
kahīñ to rahnā hai jab tak milā hai izn-e-qayām
so harf-o-saut ke shahr-e-suḳhan meñ rahtā huuñ
maiñ aks huuñ tire pairāhan-e-gul-o-mul kā
maiñ ek rañg huuñ barg-e-saman meñ rahtā huuñ
kabhī huuñ zulf kī zholīdagī meñ vārafta
kabhī maiñ terī jabīñ kī shikan meñ rahtā huuñ
misāl-e-bosa-e-doshīzgān-e-shahr-e-jamāl
tire laboñ ke gulābī chaman meñ rahtā huuñ
miyān-e-chashm-zadan DhūñDh mujh ko palkoñ meñ
kahīñ nahīñ huuñ tilism-zadan meñ rahtā huuñ
jahāñ se tū ne nikālā mire ab-o-jad ko
maiñ aaj bhī usī bāġh-e-adan meñ rahtā huuñ
vahī huā huuñ ġhazāl-e-safā ke naafe meñ
maiñ mushk-e-lā huuñ havā-e-ḳhutan meñ rahtā huuñ
hai panjand kī guzargāh merā nisf ḳhayāl
maiñ nisf vādī-e-gañg-o-jaman meñ rahtā huuñ
zamīn mere liye sair-gāh hai 'mas.ūd'
maiñ shams-zād huuñ niile gagan meñ rahtā huuñ