Manju Kachhawa Ana

jis shaKHs ne bhi khae hain sangin zaKHm-e-dil

Manju Kachhawa Ana

Sri Ganganagar, Rajasthan, India

1973
jis shaḳhs ne bhī khaa.e haiñ sañgīn zaḳhm-e-dil
dete usī ko haiñ yahāñ taskīn zaḳhm-e-dil
be-rañg ho ga.e haiñ gol-o-sabza-o-bahār
lekin abhī talak haiñ ye rañgīn zaḳhm-e-dil
hañs kar mazāq jab bhī uḌāyā hai dard kā
tab tab lagā ki ho ga.e ġhamgīn zaḳhm-e-dil
baiThī huī thiiñ taḳht pe ḳhushiyāñ to ThaaT se
un ko haTā ke ho ga.e āsīn zaḳhm-e-dil
ruḳh hai udaas ashk haiñ āñkhoñ meñ be-shumār
karne lage haiñ ishq kī tauhīn zaḳhm-e-dil
maiñ ne kahā hare hī raheñ umr bhar 'anā'
kahne lage the jhaT se hī āmīn zaḳhm-e-dil
Top Urdushayar.com