jab tak bulandiyoñ pe adab se khaḌī rahī
ye kāmrānī sab kī nazar meñ baḌī rahī
vahshat meñ vo sadā.eñ to detā rahā mujhe
maiñ ḳhaak thī to ḳhaak meñ hī bas paḌī rahī
dilkash mujhe banāyā musavvir ne jaane kyoñ
jo bandishoñ ke frame meñ har dam jaḌī rahī
us ne kahā ki jism ke through ruuh kī hai raah
maiñ bypass road kī zid par aḌī rahī
yuuñ to kalā.ī par hai sabhī ke ghaḌī magar
bas maiñ kahāñ kisī ke koī bhī ghaḌī rahī
maiñ mom kā badan liye chaltī rahī 'anā'
aur dhuup mere sar pe hamesha kaḌī rahī