Manju Kachhawa Ana

kyon bazm ki karta hai tamanna dil-e-nadan

Manju Kachhawa Ana

Sri Ganganagar, Rajasthan, India

1973
kyoñ bazm kī kartā hai tamannā dil-e-nādāñ
ho jā.egā tū aur bhī tanhā dil-e-nādāñ
hai hijr mohabbat kā taqāza dil-e-nādāñ
ab kar hī le tū pakkā irāda dil-e-nādāñ
har gaam pe hī log badalte haiñ yahāñ dil
ḳhush rahtā agar tū bhī badaltā dil-e-nādāñ
kuchh aur dhaḌak aur dhaḌak aur dhaḌak aur
tū ḳhud hī samajh jā.egā qissa dil-e-nādāñ
chup-chāp sitam vaqt ke maiñ sah to rahī huuñ
dekho na banā de ye tamāshā dil-e-nādāñ
vo aa.e the baiThe the koī baat bhī kī thī
tū dekhtā hai ḳhvāb bhī kyā kyā dil-e-nādāñ
hogā na kisī se bhī tire ġham kā mudāvā
bīmār bhī to tū hī masīhā dil-e-nādāñ
Top Urdushayar.com