jo ġhair ke jazbāt kī tāzīm karegā
vo apnī ḳhatāoñ ko bhī taslīm karegā
maiñ us ko milūñgī bhī to TukḌoñ meñ milūñgī
taslīm se pahle mujhe taqsīm karegā
haq baat bhī bātil sī lage shīrīñ zabāñ meñ
vo lahje ko is vāste ab niim karegā
vo kaam jahāñ bhar kī davā.eñ na kareñgī
jo kaam mohabbat kā faqat miim karegā
be-kār meñ ham māñgte rahte haiñ duā.eñ
kyoñ apne hī likkhe meñ vo tarmīm karegā