Manju Kachhawa Ana

chhin kar koi sakun bas de gaya hai iztirab

Manju Kachhawa Ana

Sri Ganganagar, Rajasthan, India

1973
chhīn kar koī sakūñ bas de gayā hai iztirāb
jaane kaise rabt kī ye ibtidā hai iztirāb
har ghaḌī mar kar guzāreñ saañs aTkī hī rahe
jiite jī marne ke jaisī hī sazā hai iztirāb
manziloñ ke bhī nishāñ mub.ham hī kartā jā.egā
bas musalsal ik safar hai rāsta hai iztirāb
khañDaroñ kī yā bayābāñ kī taraf le jaa.e jo
aisī bhaTkātī huī sī ik sadā hai iztirāb
shādmānī baaġh kī to ho ga.ī mismār sab
phuul titlī aur ġhunchoñ meñ bachā hai iztirāb
chāñd taare phuul ḳhushbū ye gumāñ the ishq meñ
ik khulā hāsil huā aur ik milā hai iztirāb
kaise kah duuñ is jahāñ meñ koī bhī merā nahīñ
ajnabī har shai hai chāhe āshnā hai iztirāb
Top Urdushayar.com