Basheer Ahmad Basheer

juda bhi ho ke wo ek pal kabhi juda na hua

Basheer Ahmad Basheer

judā bhī ho ke vo ik pal kabhī judā na huā
ye aur baat ki dekhe use zamāna huā
na pūchh merā pata mauja-e-havā huuñ maiñ
bhalā havā kā bhī koī kabhī Thikāna huā
har ek samt sahīfe khule paḌe the yahāñ
tirā nasīb ki tū harf-āshnā na huā
panāh miltī kise merī kibriyā.ī se
ḳhudā kā shukr maiñ banda huā ḳhudā na huā
is apnī khoj meñ kyā kyā khule na bhed magar
maiñ huuñ bhī yā ki nahīñ mujh pe aa.ina na huā
nidā-e-ġhaib thī terī sadā thī dhaḌkan thī
mire shu.ūr se itnā bhī faisla na huā
shajar to raah kā saaya haiñ un ko kyā mālūm
kahāñ se aayā musāfir kidhar ravāna huā
faqīr ho ke liyā tū ne kyā 'bashīr' ki jab
galīm-posh bhī tū ho ke bā-safā na huā
Top Urdushayar.com