ik be-sabāt aks banā be-nishāñ gayā
maiñ ganj-e-be-bahā thā magar rā.egāñ gayā
bhaTkā maiñ apnī zaat kī vus.at meñ sū-ba-sū
maiñ apnī justujū meñ karāñ tā karāñ gayā
tahrīr ik aur tair ke tahlīl ho ga.ī
ik aur naqsh-e-lauh-e-zamān-o-makāñ gayā
qaa.em hue diloñ ke abad-mauj rābte
ik jumbish-e-nazar meñ ġham-e-do-jahāñ gayā
kyā kyā chhupe na sabz ridāoñ meñ regzār
kyā kyā na lutf-e-saḳhtī-e-dasht-tapāñ gayā
jaadū kā thā dayār koī yā tilism-e-vahm
ye dam-zadan meñ shahr kā manzar kahāñ gayā
dar kyā khule bashīr ḳhalā-e-basīt ke
dil se hazār vasvasa-e-āsmāñ gayā