rāh-e-safar meñ chiiz koī kyā thī mere paas
bas maiñ thā aur vus.at-e-sahrā thī mere paas
thā mere paas ghaTtī huī zindagī kā rañj
aur ek lambī ḳhvāhish-e-duniyā thī mere paas
apnā har ik nazāra dikhānā paḌā use
kartā vo kyā ki chashm-e-tamāshā thī mere paas
tapte hue dinoñ meñ kahīñ thī ḳhunuk havā
aur sardiyoñ meñ aag sī barpā thī mere paas
kyā chiiz thī jo ghultī rahī bahte vaqt meñ
pal pal badaltī rañgat-e-dariyā thī mere paas
kaise bigaḌ ga.ī use kis ne badal diyā
'shāhīñ' jo ek sūrat-e-fardā thī mere paas