yā mah-o-sāl kī dīvār girā dī jaa.e
yā mirī ḳhaak ḳhalāoñ meñ uḌā dī jaa.e
kaise āvāz harīm-e-rag-e-jāñ tak pahuñche
itnī duurī se tujhe kaise sadā dī jaa.e
hai to phir kaun hai us oT meñ dekhūñ to sahī
darmiyāñ se ye mirī zaat haTā dī jaa.e
tere bas meñ hai to phir yā mujhe patthar kar de
yā mirī ruuh kī ye pyaas bujhā dī jaa.e
chakhne paa.e na koī buuñd ye jaltī miTTī
abr uTThe to havā tez chalā dī jaa.e
kuchh dinoñ ba.ad use dekhā to dekhā na gayā
jaise ik jaltī huī jot bujhā dī jaa.e
ye lahaktī huī shāḳheñ ye mahaktī beleñ
ye harā kunj yahīñ umr batā dī jaa.e
āḳhir is jañg meñ kuchh merā bhī hissa hai 'bashīr'
mere hisse kī mujhe kyuuñ na ridā dī jaa.e