Basheer Ahmad Basheer

har gam pe aawargi-o-dar-ba-dari mein

Basheer Ahmad Basheer

har gaam pe āvārgī-o-dar-ba-darī meñ
ik dhyān kā saaya hai mirī ham-safarī meñ
tā-hadd-e-nazar pighlī huī ret kā dariyā
kis samt nikal aa.e haiñ ye be-ḳhabarī meñ
kis kī tarab-andāz-nazar ghol rahī hai
andoh-o-ġham-o-soz mizāj-e-basharī meñ
kyā koī kahīñ kunj-e-ḳhayābān-e-sukūñ hai
ai dasht-e-ġham-e-zīst tirī be-shajarī meñ
ai qarya-e-dil dekh guzartī hai isī taur
har shahr pe barbādī-o-zer-o-zabarī meñ
ahl-e-talab-o-shauq zamānoñ se paḌe haiñ
arsa-gah-e-ḳhud-sozī-o-hairāñ-nazarī meñ
lahrā.e na lahrā.e vo ab barq-e-ḳhad-o-ḳhāl
ab ham nahīñ ḳhār-e-ḳhas-e-āshufta-sarī meñ
ik hamdam-e-derīna kī yādoñ kī kasak hai
ḳhushbū-e-ḳhush-anfāsī-e-bād-e-saharī meñ
nigarāñ mirī jānib nigah-e-ḳhush-hunrāñ hai
kuchh to hunar āḳhir hai mirī be-hunarī meñ
ik tesha-e-sad-pāra kī sūrat haiñ 'bashīr' ab
hāsil yad-e-tūla thā jinheñ shīsha-garī meñ
Top Urdushayar.com