qarya qarya ḳhaak uḌaa.ī kūcha-gard faqīr hue
pūrab pachchhim DhūñDā us ko āḳhir gosha-gīr hue
kaun haiñ ye kyā rabt thā un se kyā kahiye kuchh yaad nahīñ
ye chehre kab dil meñ utre kis lamhe tasvīr hue
sau pairā.e DhūñDe phir bhī aaj ke din tak aajiz haiñ
haa.e vo baat jo kah bhī na paa.e aur daftar tahrīr hue
sad.hā gahrī soch meñ Duubī sadiyāñ ham par sarf huiiñ
ik do baras kī baat nahīñ ham qarnoñ meñ ta.amīr hue
vo shab vo shab-ḳhūn adū kā kis uslūb bayān kareñ
ghāyal kaise pahroñ taḌpe ham kis taur asiir hue
kyā maiñ kyā tū aaj bhī donoñ ḳhaak haiñ kal bhī ḳhaak 'bashīr'
jiinā un kā marnā un kā jo vaj.h-e-ḳhair-e-kasīr hue