aisā tah-e-aflāk ḳharāba nahīñ koī
us dasht se zinda kabhī lauTā nahīñ koī
haibat vo sadāoñ meñ ki larze dar-o-dīvār
guzre vo shab-o-roz ki soyā nahīñ koī
vīrān sī vīrān huī dhyān kī bastī
chehra kisī chilman se jhalaktā nahīñ koī
sar phoḌ ke lauT aatī hai jaatī hai jo āvāz
kyā gumbad-e-āfāq meñ rasta nahīñ koī
ik aisī masāfat hai ki saa.at bhī kaThin hai
sadiyoñ kā safar aur kahīñ saaya nahīñ koī
be-ism nahīñ khultā dar-e-ganj-e-tilismāt
satroñ meñ ḳhazīne haiñ tamāshā nahīñ koī
dekhī hai 'bashīr' ahl-e-nazar kī bhī rasā.ī
bāteñ mirī samjhe mujhe samjhā nahīñ koī